Ek sapna jo mujhe raaton main aata hai,
Har subha apni yaadon ke saath mujhe bandh jata hai.
Shayad kabhi pura na ho,
Ya shayad kabhi pura na karun,
Par har raat uske saath mera ek rishta ban jata hai.
Ek sapna jo mujhe raaton main aata hai,
Har subha apni yaadon ke saath mujhe bandh jata hai.
Jane kuyn isse bhula nahi pate hum,
Har baar iss hi gunguna jate hain hum,
Aab sapna nahi dost ban chukka hai yeh,
Haton main lakeeron ki tarah zehan main bas chukka hai yeh,
Ek sapna jo mujhe raaton main aata hai,
Har subha apni yaadon ke saath mujhe bandh jata hai.
Kuch sochti hai par kuch bolti hai yeh zaban,
Dil ke har raaz ko dil main rakhakar
Awaz main jhoth gholti hai yeh zaban.
Rooti hai aankhein raat main,
Kuynki har waqt khud ki tareef sunnane ke liye
Har shabd bolti hai yeh zubaan.
Jise nafarat se mehsus karti hai har waqt,
Ussi ko mukurate dekhane ke liye bolti hai yeh zabaan.
Kuch sochti hai par kuch bolti hai yeh zaban,
Dil ke har raaz ko dil main rakhakar
Awaz main jhoth gholti hai yeh zaban.
Dassti hai yeh logon ki aawazain
Aur gumname meri dil ki khamosh baatein.
Jo kehti hai ki chod de saare bemaiyne rishte
Aur tode har khwahishon ki buniyadon par bane naate,
Par inhain chupakar har baar ek naya bematalab rishta aage badhati hai yeh zuban.
Kuch sochti hai par kuch bolti hai yeh zaban,
Dil ke har raaz ko dil main rakhakar
Awaz main jhoth gholti hai yeh zaban.
No comments:
Post a Comment