Wednesday, November 14, 2007

Some thoughts:

Har aahat par ruki dhadkan laga ki tera jawab aaya hai
Har saas ki gungunahat main laga ki tera naam aaya hai,
Har raah main pair rakhte hue laga jaise,
Har mood pe tere kadmon ko chukar mera anjam aaya hai.





Khali aangan main padti barish ki kali bunde,
Aur chand ko chummati chamkati kali bunde,
Ek sukha hua fool mez par pada hua
Aur pazeb ki jhankar jeene pe padti.
Ek anjani anchahi muskurahat hoton par,
Ek labz se lipte hue kai jazabaat,
Kapte haathon main,
Aur bolti aankhon main,
gudgudate sapne
Aur har sapne main simati hui kai raat.



Hothon se takrake shabd bikhar gaye,
Palkon se milkar sapne bun gaye,
Ghunghat iss dil ka kabhi uthaya hi nahi,
Unki raaton main fir bhi har raaz khul gaye.

No comments: